आप यहाँ से ब्लॉग के सभी लेख देखें

Otg cable kya hai hindi me janiye

<

OTG cable kya hai-


Otg cable (USB ON-THE-GO) ek praker ka cable hai jo mobile phone me use Hota hai. Otg cable bahut hi useful hai mobile phone aur TABLATE ke liye.

Otg cable ka ek bagh mobile ya TABLATE me lagta hai. Dushara bagh usb type ka hota hai. Usb vale bagh se hm mobile me pendrive, keyboard, mouse
Cardreader, aur bhi bahut kuch use kar shakte hai. Ishse ek mobile se dushare mobile phone ko bhi charge kr shakte hai. To aaiye jante hai otg cable mobile phone TABLATE me kaise use kiya jata
Hai.

OTG CABLE ME PENDRIVE YA CARDREADER KA USE>>







Jaisa ki aap upar vali image me dekh rahe hoge ki otg cable me pendrive laga hai.
Otg cable mobile ya TABLATE me lagakar jb aap dushare vale bagh me pendrive lagate hai to vah apne aap hi connect kr leta hai. Jb vah connet karega to mobile me connetvity conform kr dega.
Otg cable me pendrive use karke hm pendrive me apne mobile se data (MOVIE APPS MP3 VIDEO) aur bhi bahut kuch bejh shakte hai. Aur ha jo bhi pendrive me se aap lena chahte hai vo le shakte hai. Otg cable CARDREADER pr aise hi work karta hai jaise pendrive pr. To ab aapko apni memori nikalne ki jaeurat nahi hai aap otg cable se hi sabkuch transfer kr shakte hai ya le shakte hai.



OTG CABLE ME MOUSE KAISE JODE. AUR YE WORK KAISE KARTA HAI>>








Otg cable ki ye behtrin technic aapko bahut acchi lagegi. Ji ha aap otg cable se apne mobile phone tatha TABLATE ko mouse se connect karva ke mouse se apne mobile phone TABLATE ko chala shakte hai. Ye bilkul aasan hai bs otg cable ka ek sira mobile me lagaiye. Aur dhusra sira mouse me lagaiye. Aur aapko connection ka massage aayega ushe connet karva lijiye. Ya direct hi jb mouse apke mobile phone ya TABLATE ko connect kr leta hai to ushpar arrow bn jata hai. Jaisa ki computer me hota hai. 
Aapko alag se mouse ki jarurt nahi hai. Aap jo mouse apne computer ya leptop me lagate hai vahi mouse ishme bhi lagega. bs mouse usb hona chahiye.

OTG CABLE DWARA MOUSE KEYBOARD DONO CHALAYE APNE MOBILE YA TABLATE ME>>



Aap keybord mouse dono ko ek sath me chala shakte hai apne mobile phone ya TABLATE me. Upar image me dikhaya gaya hai. Mouse keyboard ek sath chalane ke liye aapko km se km 2 muh (USB) vali otg cable lena hoga. Ye bilkul aap ke mobile ya TABLATE ko computer jaisa bana dega. Jisse aap mouse ka bhi use karo aur keyboard ka bhi. Ye bhi aasani se connect kr leta hai. aapke mobile phone ya TABLATE me.

MOBILE KAISE CHARGE KARE OTG CABLE DWARA>>


Jaisha ki aap upar vali image me dekh rahe hai ki mobile se mobile ko charg kiya ja raha hai. Ye sambv hai otg cable dwara.
Aapka bs ye karna hai jis mobile se charge karna hai ushme otg cable laga de. Aur jis mobile ko charge karna hai ushme charger cable laga kr connect karva le.

KAUN KAUN SI MOBILE PHONE TABLATE OTG CABLE SUPPORT KARTI HAI>>








Aapke liye ye janna bahut jaruri hai ki otg cable hr mobile support nahi karti.
Jabki lagbag TABLATE support karte hai. Aap apne mobile me jb otg cable  ke sath pendrive ya mouse ya keyboard ya aur kuch lagayege to agar vo aapko koi massage nahi deta to samjh lijiye ki aapki mobile ya TABLATE otg support nahi karti. Agar aap age se mobile phone ya TABLATE lene ja rahe ho to ye jarur dekh lena ki ye otg cable supporter hai ki nahi. Aap google pr search karke bhi pata laga shakte hai ki otg cabel supporter kaun se mobile phone ya TABLATE hai.

* Mobile se judi post dekhne ke liye click kare.

Ummid hai yh jankari aapko aachi lagi hogi agar aapka koi sawal hai to aap hamse Comment box ke jariye puch shakte hai post acchi lagi ho to share jarur kare.