आप यहाँ से ब्लॉग के सभी लेख देखें

Successful Blogger kaise bane jane Hindi me

SUCCESSFUL BLOGGER KAISE BANE-



HR EK BLOGEER YE CHAHTA HAI KI USHKA BLOG SUCCESSFUL BANE. KOI BHI VAYKTI (PERSON) BLOG KI DUNIYA ME PICHE NAHI RAHNA CHAHTA. YE JAYAJ BHI HAI. KYUKI AAP BLOG BR LAGATAR MEHNAT BHI KARTE HO. TO AAIYE JANTE HAI SUCCESSFUL BLOGGER BANNE KE TARIKE>>

1. KAUN SA BLOG OPCTION CHUNE.


Agar aap blogging ke duniya me apne aap ko dekte hai to aap ke samne ek nayi samsya aati hai ki blog ka kaun sa platform chune.
Mai to aapse ye kahuga ki aap Blogger ya WordPress ko chune blogging ke liye. Ye ishliye kyuki bahut sare safal blogger Ishi platform ka chunav karte hai. Vaise bahut sare OPCTION hai blogging ke liye jaise. Blogger ,Wordpress Weebly, etc. Aap niche click karke jan shakte hai ki Blogger pr kaise account banaye.





2. BLOG TOPIC.


successful blogger kaise bane

Aapka blog aisha hona chahiye jishe dekne matr se ye pata chal jay ki aapka blog kis topik se sambandhit (related) hai. Jaise ki-

1. Computer
2. Mobile internet
3. Kheti karne ke tarike.
4. Student community
5. Kuch rochak jankari etc.

Aapka blog kisi bhi topic se related ho shakta hai. Aap apne blog pr vahi jankari de jisse aapka blog related hai.

3. BLOG KI DESIGN.

Appke blog ki design dikne me acchi honi chahiye. Blog ko jb koi user dekhta hai to vo aapke blog se impress hokar use dubara dekhna chahta hai. Ishke liye aap apni blog ki disign ko jayda colorfull na kare. Apne blog ke liye sahi template ka chunav kare.

4.BLOG KI SHAHI JANKARI.






Ye bahut jaruri hai. Aap apne blog ki post bilkul sahi honi chahiye. Galat jankari blog ke users ko acchi nahi lagti. Jisse ve aapke blog ko nahi dekhege. Aur apni jankari hi dijiye kisi website se coppy ki hui jankari n de.

5. BLOG KO CONNET KARE SOCIAL NETWORKING SITS PR.

successful blogger kaise bane

Aap apne blog ko social networking sits pr jarur share kare aur aap apne blog ka Facebook page Twitter page. Etc. Bana shakte hai. Aap jb koi bhi post likhe to unhe jarur share kare. Ishse aapke blog pr view badti hai.

6. BLOG KE COMMET KA JABAB.

Aap apne blog pr jis post pr comment aaya hai ushka jabab (answer) jrur de. Ishse  aapke blog pr jo comment karte hai ve aapke blog ko jarur kholege. Jisse aapke blog ki view badegi.

7. USEFULL POINTS AND IMAGE.



Aap apne blog ke post me bs important topic ko samjhakr likhe. Topic n to chota ho na hi bahut bada. Bs aapko ye lage ki ishe users aasani se samjh lege. Aap apne blog ke post me post se related image jarur dale. Image ka prabhav hamare blog pr padta hai. Aap apne blog ke view dekhkar ye jan shakte hai ki aapke kis post ko jayda pada gaya hai. Aap usi tarah ke post blog me likhe.

8. 1 SAMAY ME 1 BLOG.


Kai bar aisha dekne ko milta hai ki aap ek hi sath kai blog chalana chahte hai. Ishse aap apne kisi bhi blog pr sahi time nahi de pate. Ishke karan aapke blog pr view nahi aa pati. Aap ek samay me 1 hi blog use kare to accha rahega.

9. SEO KA PRAYOG.


SEO (SEARCH ENGINE OPTIMIZATION) ek aisha tarika hai jishke dwara aap apne blog ki trafic bahut jayda bada shakte ho. Aisha dekha gaya hai ki kuch naye blogger ishe ignore kr dete hai. Ushki ek bajah ye hai ki unhe ishke bare me pata nahi rahta. Seo dwara aaki post blog search engine me aa jati hai. Jishse aapke blog ki trafik bd jati hai.

10. GOGGLE ANALYTICS  PR APNI ID BANAYE.

Aap ishke dwara apne blog ki stithi ko jan shakte hai. Aapke blog pr kya chal raha hai. Ye bilkul free hai google ki taraf se. Ye aapko jankari deti hai-





*Aapke blog pr kis post ko jayda pada gaya hai.

*Kis country me aapke blog ko jayda khola gaya hai.

*Kaun log aapke blog pr jayda samay bita rahe hai. Aur bhi bahut kuch.

AGAR AAP IN NIYMO SE BLOGGING KARTE HAI TO DUNIYA AAPKE KADAM CHUMEGI. AAP EK NAYI UCHAIYO PR PAHUCH JAYEGE.


Ummid hai yh post aapko acchi lagi hogi. agr aapka koi sawal hai to aap hamse comment box ke jariye puch shakte hain post acchi lagi ho to share jarur kare.