PAYPAL KYA HAI AUR PAYPAL PR ACCOUNT KAISE BANAYE:-
PAYPAL KYA HAI>>
PayPal pr account banane se pahle ye janna jaruri hai ki PayPal kya hai. Aap jb apne blog ya website ya adfly ya NEOBUX se paise kamate ho to Aapko aapka payment direct bank me nahi jata kyuki bank me transfar karne ka koi opction hi nahi hota hai. Ishliye PayPal ka paryog kiya jata hai. Jo hamare balance ko bank me transfar karti hai. Ji ha hamare internet se kamaye gaye paise ko PayPal dwara hm bank me bejte hai. Ishpar account banana bhi kafi aasan hai. To aage dekhiye hm kaise account banaye PayPal pr.
KYA CHAHIYE PAYPAL PR ACCOUNT BANANE KE LIYE>>
1. PAN CARD KA NO.
2. BANK KA IFC CODE (ye internet se mil jayega)
3. BANK KA ACCOUNT NO. (jis account me aap paise chahte hai)
4. PURPOSE CODE (ishme aap *BUSINESS MANAGEMENT CONSULTENCY* bhare ishka matlab ye hota hai ki aap account kyu kholna chahte hai)
AGAR AAPKE PAS YE CHIJE HAI TO AAB AAP NICHE DIYE GAYE STEPS KO DEKHE>>
1st step>>
Sabse pahle www.PayPal.com pr jaye waha SIGN UP ki button pr click kare.
2nd step>>
Apni country select kare. Ab GET STARTED button pr click kare.
3rd step>>
Ab aapke samne ek naya page khulega ushe sahi sahi bahre.
Niche form me AGREE AND CRIEAT ACCOUNT button pr click kare.
4rt step>>
Ishkr bad aapko SECURITY CHALLENGE ke nam ka page dikhai dega ishe ishme CODE bhare aur CONTINUE butoon pr click kare.
5ft step>>
Email conform kare.
6th step>>
Apna email conform karne ke bad login page me jakar login kare. Ushke bad jaise niche page dikh raha hai vaisa hi page khulega (UPDATE ACCOUNT AND INFORMATION) ishme security question select kare agar aap pasword bhool bhi jaye to ye password ko recover karne ke kam aayega.
7th step>>
Niche diye gaye jagh pr click kare
(LEARN HOW TO REMOVE THIS LIMITATIONS) pr click kare.
8th step>>
Aab aapko kuch opction dikhai dege jo niche image me bhi hai.
1. ADD PURPOSE CODE
2. LINK BANK.
3. ADD PAN NUMBER
Agar aapne pan card no. Pahle hi dal diya hai to PURPOSE CODE me jakar jakar RESOLVE pr click kare.
9th step>>
Aab ek page (ADD A PURPOSE CODE) khulega jishe aapko bharna hoga ushe bharne ke bad SAVE kr de.
10th step>>
Ushke bad bank accont ko jodne ke liye aap nice diye gaye link (LINK BANK) pr click kare.
11th step>>
Ab ek naya page khulega ushme diye gaye form ko sahi se bhare. Bharne ke bad aap continue button pr click kr de.
12th step>>
Bank ko link karne ke bad PayPal aapke bank account me 2 chote chote ammount jama karega. 1.02 1.15 ya kuch aur jama karne ke bad 1 hapte me ye aa jayega. Jb ye ammount aapke account me aa jay to aap login karrke niche diye gaye opction (GET VERIFY) button pr click kariye. Ishke bad ek page khulega jisme aapse vo ammount puchega jo aapke accont me PayPal dwara bejha gaya hai. aap ush ammount ko vaha likh dege jishe aapka PayPal account conform ho jayega.
Ummid hai ki aapko yh post acchi lagi hogi agar aapka koi swal hai to aap Comment box dwara hamse puch sakte hai.