आप यहाँ से ब्लॉग के सभी लेख देखें

10 useful app Android Phone के लिए

USEFULL APPS FOR ANDROID MOBILE IN HINDI:-




Aapko yaha pr kuch importent apps ke bare me bataya ja raha hai aap inhe jarur dekhe. Aapko playstore pr bahut sare apps milte hai. Pr aap ye conform nahi kr pate ki kaun sa app USEFULL hai. Aur ek bat bahut sare apps downlode karne se aapki mobile ki speed bhi km ho jati hai. Aap ish artical me dekh kr kuch USEFULL app jishe aap apne mobile me use kr shakte hai.

1. CAM SCANNER

Aap ish aap ko apne android mobile me instal karke. kisi photo ko pdf ke rup me badal shakte hai. Ishki jarurt student se lekar office ke work me bhi padti hai. Aap ish app ko downlode kare aur use kare. Cam scanner app aapke mobile me bahut km space leta hai.

2. MY SCRIPT CALCULATOR

My script calculator app bahut USEFULL app hai android ke users ke liye. Khas bat ishme ye hai ki aap ishme apne hato se likh shakte hai. Jaise ki kisi chart pr pencil (pen) ke dwara aap sawal lagate hai.

3. CYMERA




Ye ek camera app hai jishke dwara aap photo khic bhi shakte hai aur ushe edit bhi kr shakte hai. Ishme edot karne ke bahut sare opction bhi diye gaye hai. Android users ko photo editing app ko bahut jarurat hoti hai. Ye app bahut hi khas hai android users ke liye.

4. EARN TALKTIME.

Earn talktime ek prakar ka aaps downlode karne ke badle paisa dene wali app hai. Aap ishke jariye app downlode karke paisa bhi kama shakte hai. Aur ishe sare karne pr aapko 30 rupye tk mil shakte hai. Ish app ke dwara kamaye gaye paise se aap mobile recharge dth recharge. Aur bhi bahut kuch kr shakte hai.

EARN TALKYIME USE KAISE KARE DEKHNE KE LIYE CLICK KARE.

5. FILE HIDE EXPERT

File hide expert ek prakar ka file folder music video etc. Ko chupane (hide) karne wala app hai. ish app ke jariye aap apni importent files ko chupa (hide) kr shakte hai.


6. GOOGLE HINDI INPUT


Google hindi input ek behtrin app hai un users ke liye jo hindi me typing karna chahte hai apne mobile me. Ishme ek khas feature hai jiske dwara aap apne voice se bhi likh shakte hai. ishme aap english aur hindi dono typing kr shakte hai.

7. HINDKHOJ DICTIONARY

Ye ek aisha app hai jiski jarurt hr android user ko padti hai. Ishke dwara aap hindi me koi word likhkr ushka english mining jan shakte hai. Aur english likhkr hindi jan shakte hai. Ishme aur ek khas bat hai ki ye noun pronoun verb adverb sb kuch show karta hai.

8. ONLINE TAIYARI




Ye bahut mahtvpurn app hai. Ishka use hr ek student karta hai. Ish app ke jariye aap Current affairs General  knowledge history geographi etc. Jan shakte hai. Ishme aapko test dene ka bhi opction diya rahta hai.

9. MX PLAYER

Ishka upyog video aur music ke liye kiya jata hai. Ishse aap apne video ko acche tarike se aasani se play kr shakte hai.

10. CLEAN HISTORY

Clean history aap se aap apne mobile ke browser massage call history ko ek click me hata shakte hai. jisse aapki mobile ki speed bhi bd jati hai.

AUR KUCH USEFULL APP.

1. WHATSAPP
2. GOOGLE CROME
3. HIDDEN EYE
4. FLASH TRANSFAR
5. UC BROWSER






Ummid hai yh post aapko acchi lagi hogi agar aapka koi sawal hai to aap hamse Commentbox ke Dwara puch sakte hai.